Aye Momina Suno song Lyrics from album Daku Bijlee.The song is sung by Mohammed Aziz. Lyrics of Aye Momina Suno song has written by Jalal Malihabadi and The music of this song is given by Anwar -Anwar - Usman and Usman -Anwar - Usman. The music video of Aye Momina Suno's song is directed by Anwar -Anwar - Usman and Usman -Anwar - Usman.
Allah ke rasul ka farman aam hain
Is naam mein namaaz ka
Pehala makam hain
Aye momina suno
Yeh karamat namaaz ki
Aye momina suno
Yeh karamat namaaz ki
Jannat mein le ke jayegi ye
Aadat namaaz ki
Jannat mein le ke jayegi ye
Aadat namaaz ki
Jannat mein le ke jayegi ye
Aadat namaaz ki
Aye momina suno
Yeh karamat namaaz ki
Aye momina suno
Yeh karamat namaaz ki
Aye momina suno
Ek vakya sunata hoon namaaz ka
Ek mozila bata hoon tumko namaaz ka
Dilli mein ek ladki badi honhar thi
Sirat mein badi nek ibbat gujar thi
Ghar ghar namaaz ja
Ke vo baccho ko sikhati
Tasveer kiya karti thi
Har waqt khuda ki
Kahti thi ki khid mat
Ka sabhak deti hain namaaz
Saitan ko insan bana
Leti hain namaaz
Banda vahi hai jisko hain
Chahat namaaz ki
Aye momina suno
Yeh karamat namaaz ki
Aye momina suno
Yeh karamat namaaz ki
Ek roj uske chehere ki
Jo khil gayi kali
Mayake se doli uth gayi
Sasural aa gayi
Shadi ki raat mein bhi na
Bhuli namaaz ko
Shoher se kaha waqt e fazer
Aap bhi pado
Har haal mein namaaz
Musalma ka farz hain
Jab tak ye zindagi hain
Khuda ka ye karz hain
Bola ke is namaaz se
Kuch fayada nahin
Phir gis rahi hain kis liye
Tu apni ye jewi
Dil mein nahin thi
Uske mohabbat namaaz ki
Aye momina suno
Yeh karamat namaaz ki
Aye momina suno
Dil par ek aur chot lagi
Jab pata chala
Khavind uska roj
Khela kata hain jua
Boli ye jua haram hain
Ye khel hain bura
Par vo na mana gahne
Sab bechne laga
Kuch din ke baad
Ek chand sa beta hua paida
Bete ko maa ne paya to
Ghum hua halka
Ghur waqt mein bit gaye
Pure teen saal
Sohar ka tha na biwi na
Bache ka kuch khayal
Muskil mein kaam aati hain
Takat namaaz ki
Aye momina suno
Ye karamat namaaz ki
Aye momina suno
Ek raat vo tandoor
Jalane ko jab uthi
Tandur ke jalte hi
Ajaa fajal ki hui
Karke waju musalle pe
Jakar khadi hui
Ruhani mato se
Wo masrur ho gayi
Itne mein uska ladla
Rota hua aaya
Rota hua aage se
Wo uske nikal gaya
Jalte hue tandur mein
Wo bacha gir gaya
Bache ki chikh sun ke
Wo sohar bhi aa gaya
Manjar ye dekhte hi
Tadap kar vo rah gaya
Bache ko jalte dekh ke
Chilla ke vo peda
Tandur se jis
Waqt bache ko nikala
Hath uske dono jal gaye
Chehera jhulas gaya
Sajade mein maa padi thi
Aur bacha gaya tha mar
Mashul thi namaaz mein
Usko na thi khabar
Usne salam pher ke
Jab ki udhar nazar
Bache ki lash dekhke
Dil aaya uska bhar
Sohar ne dekha biwi
Ko gusse se ye kaha
Tu hi bata namaz ka
Ye kya mila sila
Bache ki jaan le li hain
Teri namaz ne
Tujhko saja de di hain
Teri namaz ne
Wo dono hath bandhe
Musalle pe thi khadi
Sohar ke tane sunte hi
Bijli si gir padi
Darbar ilahi mein
Jo usne uthaye hath
Boli ki ami to khoyi thi
Tere karam ke sath
Ye kya kiya tune to
Meri god hi ujad di
Parwar dagar tune to
Achhi ye saja di
Ankho se uske sabar ke
Aansoo nikal pade
Aasu nikal pade to
Musalle pe gir gaye
Ya rab mer inamaz ki tu laz bachale
Sajde mein mohamad ke
Tu ab jalwa dikhade
Itne mein asmmaa mein
Andhera sa chha gaya
Bijli kadak uthi aur buhal aa gaya
Phir jhoom ke rahmat ka
Wo badal baras pada
Sohar bhi achha ho gaya
Bacha bhi ji utha
Ammi pukarta hua is im pe chal pada
Aur jakar maa ki god mein
Bacha machal pada
Ma ne gale laga liya aur pyar kar liya
Allah ke huzur mein saujda ada kiya
Biwi ko dekhte hi sohar bhi ro pada
Biwi se aur bache se jakar lipat gaya
Bola mujhe khuda ke liye maf kijiye
Jo chahe is khat ki saja aap dijiye
Apne kiye pe aaj woh sarminda ho gaya
Saitan se wo allah ka wo banda ho gaya
Tauba meri kubul kare paak benihaj
Main bhi padunga
Aaj se har waqt ki namaj
Do jaft ki ankh bhal usko kya jalayegi
Mathe pe kiske likhi ho barkat namaj ki
Eye mohmillo suno ye karmat namaj ki
Jannat mein le ke jayaegi adat namaj ki
Jannat mein le ke jayaegi adat namaj ki
Eye mohmillo suno ye karmat namaj ki
Eye mohmillo suno
Sajde mein jo bhi
Aa gaya allah ko pyara
Jannat mein jayega wo
Mohamad ka dulara
Shan hai sahadat namaj ki
Eye momina suno.
All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes and personal use only. Copyright @ 2019-2024 hindimarathilyrics.in