Ek Machhar Lyrics In Hindi- Yeshwant :
Ek machhar,
Ek machhar sala aadami ko
Hizda bana deta hai
Ek khatmal puri rat ko apahij kar deta hai
Ek machhar sala aadami ko
Hizda bana deta hai
Mat aao mere pas rahne do mujhe akela
Ladne do mujhe apni ladayi
Kabhi na kabhi to jhut ka
Gala ghotegi sachayi,
Lekin sala ek machhar aadami ko
Hizda bana deta hai
Subha ghar se niklo
Bhid ka ek hisa bano
Sham ko ghar jao,
Daru pio, bache paida karo
Aur subha talak phir ek bar mar jao
Kyoki aatma aur andar ka
Insan mar chuka hai
Jine ke ghinone
Samjhote kar chuka hai
Sala ek machhar aadami ko
Hizda bana deta hai
Uchi dukan fika pakwan
Khaddar ki langoti
Chandi ka pikdan so
Mein se assi baiman phir
Bhi mera desh mahan
Topi lagaye machhar kahta hai
Desh ke logo mein
Samta ki bhawana aa rahi hai
Isiliye to badi machhali
Chhoti ko kha rahi hai
Hamare chune huye kute,
Hume hi kate hai
Humare hisse ki rotiya
Apas mein batate hai
Human us gand se bhari unki
Aawaj se nange raste kapte hai
Kal peda huye bache,
Ek saans lete huye hapte hai
Saitano ki najayaj aolad
Tahalkha macha rahi hai
Aur hum hum bhagwan ke
Chahite janwar insan
Zindagi ko gali banaye
Bethe hai kya kare, sala
Sala ek machhar aadami ko
Hizda bana deta hai
Giro salo giro giro giro lekin giro to
Us jharne ki tarha jo parwat ki uchai se
Gir ke bhi apni sundarta khone nahi deta
Zamin ke tah se milke bhi
Apne astitav ko nasht nahi deta
Lekin itana sochane ke liye
Waqt hai kiske pas, kyoki
Sala ek machhar aadami ko
Hizda bana deta hai
Mandir, masjid ki ladayi mein
Mar gaye lakho insan
Dharam aur mjhab ke naam par
Ho gaye hajaro kurban
Jis ne anyay ke
Virodh mein bali ko mara,
Rawan ko mot ke ghat utara
Punya ko paap se ubhara,
Mujhe us ram ki talash hai magar
Lagta hai is yug ke
Ram ko aajivan vanvas hai, kya kare
Kyoki, sala ek machhar
Aadami ko hizda bana deta hai
Ye machhar, ye machhar,
Jiska kichado me ghar hai
Naliyo me basera hai,
Iski pehchan
Ye hai ke ye na tera hai na mera hai
Ye machhar hizda bana dega,
Hizda bana dega
Kabhi saitan aayenge,
Mere darwaje par dastak denge
Jahan ki talashi lege,
Phir jal uthenge,
Us waqt main daruga nahi
Apne sharir ko dhal,
Hath ko talwar banaunga,
Ek na ek din to
Tum mera hath chumoge, karo,
Aaj mujhe badnaam karo nilam karo
Nilami ke liye kya hai mere pas,
Bas jalte huye aansuo ka aeshas
Magar, magar main tumse badala luga,
Tumhari aakhiri boli par
Mere do saanso ke bich ka thaherav
Tumhe fokat me duga,
Kyoki salo ek machhar
Ne tumhe hizda bana diya hai.