Ek Thhi Maa Punyakoti Lyrics - Godhuli(Dilraj Kaur, Mohammed Rafi and Usha Mangeshkar).
Ek Thhi Maa Punyakoti song Lyrics from album Godhuli.The song is sung by Dilraj Kaur, Mohammed Rafi and Usha Mangeshkar.
Lyrics of Ek Thhi Maa Punyakoti song has written by Suryabhanu Gupt and The music of this song is given by Bhaskar Chandavarkar.
The music video of Ek Thhi Maa Punyakoti's song is directed by Bhaskar Chandavarkar. Ek Thhi Maa Punyakoti Credits :
Ek Thhi Maa Punyakoti Lyrics In Hindi- Godhuli :
Is dharaa par ek sundar
Desh karnataka jahaan par
Ek thha kaalingbaala
Hai usi ki ye katha
Ped neeche baith jaata
Jhoom kar bansi bajaata
Maam le le kar bulaata
Prem se har gaay ko
Aa ri ganga gauri aaja
Tungabhadra tu bhi aaja
Punya koti maa aaja
Aa ri shyama tu bhi aa
Bol sun gwaale sab
Aa khade hote nikat
Wo doodh dohne baithhta
To pal mein bhar jaate ghade
Ek thhi maa punyakoti
Hai usi ki ye katha
Paas parbat ki gufa mein
Us ghane jungle mein koyi
Baagh rehta thha bhayaanak
Aaj thha bhookha padaa
Ghaat mein thha
Wo jhapat ke
Beech kooda jo garaj ke
Dar gayi gaayen achaanak
Aur bhaagi praan le
Laad bachhde ko ladaaun
Doodh jaate hi pilaaun
Laut kar ghar ja rahi thhi
Punya koti sochti
Lo mila aahaar mujhko
Soch man mein baagh usko
Gher aadhe raaste mein
Ho gaya giri sa khada
Ek thhi maa punyakoti
Hai usi ki ye katha
Bhookh se bola tadap ke
Main padoonga toot tujh pe
Aur tujhe neeche giraa ker
Phaad khaaunga abhi
Jodti hoon haath tere
Laal bhookha raah dekhe
Doodh phauran main pilaake
Laut aaungi yahaan
Praan doon na vachan jaayen
Satya hi maa baap bhai
Jo vachan todey us par
Prabhu nahin karte kripa
Ek thhi maa punyakoti
Hai usi ki ye katha
Laal baithha
Baagh bhookha
Main wachan de lautne ka
Isliye aayi ke tujhko
Aankh bhar ke dekh loon
Doodh main kiska piyungaa
Bolo kisko maa kahunga
Main anaathon sa jiyungaa
Kaun dega aasra
O mere bachpan ki sakhiyon
Ek vinti meri suniyo
Ye huaa be-maa ka
Isko laal apna jaaniyo
Seeng aage taaniyo na
Laat peechhe maariyo na
Is abhaage ko tum
Apne laal jaisa maaniyo
Ek thhi maa punyakoti
Hai usi ki ye katha
Der na ho soche man mein
Gaay bachhde se bichhad ke
Jhat gufa ke dwaar pahunchi
Aur boli baagh se
Peshiyaan lo maans bhi lo
Lo jigar ka khoon pee lo
Lo mitaa lo bhookh apni
Aur bhaai khush raho
Bhookh bhula zindagi mein
Baagh pehli baar roya
Main adham maaroon ise
To mujhe dhhikkaar hai
Dhanya hai tu behan meri
Main na loonga jaan teri
Ye kahaa upar se koodaa
Praan usne taj diye ae
Ek thhi maa punyakoti
Hai usi ki ye katha
Naam hari har krishna ka le
Har makar sankraanti ko
Vansh dhar pooje jo mujhko
Poorn ho har kaamna
Jo bhi sun le is katha ko
Poorn ho har kaamna.
Did you enjoy Ek Thhi Maa Punyakoti song lyrics?. if there is any mistake in lyrics of Ek Thhi Maa Punyakoti song please contact us.