Hawaa Banke song Lyrics from album Yeh Saali Aashiqui.The song is sung by Armaan Malik. Lyrics of Hawaa Banke song has written by Tanveer Ghazi and The music of this song is given by Hitesh Modak. The music video of Hawaa Banke's song is directed by Hitesh Modak.
Hawaa banke jo tu aaye
Tujhe kushbu bana dunga
Tu koyi ho zuban jaanam
Tujhe urdu bana dunga
Meri udaasi ka ilaaj hai
Yeh muskurahatein teri
Jale hain mujhmein sau diye
Suni kabhi jo aahatein teri
Yeh saahilon ki sookhi seepiyan
Mehak uthe jo tum mile
Bujhi bujhi si aankh bhi
Chamak uthe jo tu mile
Hawaa banke jo tu aaye
Tujhe kushbu bana dunga
Tu koyi ho zuban jaanam
Tujhe urdu bana dunga
Yeh meri dhoop mein saaye
Teri zulfon se aaye
Jo tera dhyaan mile to
Sukun tanhayi paaye
Teri marzi se meri
Yeh saansein aaye jaaye
Tu dil pe hath rakhe to
Yeh dhadkan ruk si jaaye
Pehle the dhuan
Ab kaajal hoon tera
Pal pal hai junoon
Mein pagal hoon tera
Hawaa banke jo tu aaye
Tujhe kushbu bana dunga
Tu koyi ho zuban jaanam
Tujhe urdu bana dunga.
All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes and personal use only. Copyright @ 2019-2024 hindimarathilyrics.in