Kaise Besharm Aashiq Hai Lyrics - Putlibai(Rashida Khatoon and Yusuf Azad).
Kaise Besharm Aashiq Hai song Lyrics from album Putlibai.The song is sung by Rashida Khatoon and Yusuf Azad.
Lyrics of Kaise Besharm Aashiq Hai song has written by Zafar Gorakhpuri and The music of this song is given by Jaikumar Paarte.
The music video of Kaise Besharm Aashiq Hai's song is directed by Jaikumar Paarte. Kaise Besharm Aashiq Hai Credits :
Kaise Besharm Aashiq Hai Lyrics In Hindi- Putlibai :
Kaise besharm aashiq hai ye aaj ke
Kaise besharm aashiq hai ye aaj ke
Inko apna banana gjab ho gaya
Kaise besharm aashiq hai ye aaj ke
Inko apna banana gjab ho gaya
Dhire dhire kalai lage tham ne
Dhire dhire kalai lage tham ne
Inko anguli thamana gjab ho gaya
Dhire dhire kalai lage tham ne
Inko anguli thamana gjab ho gaya
Jo ghar me silpe masala
Talak na pis sake
Unhe ye naz hume khak me milayenge
Kalai dekho to
Chhudi ka bhojh sah na sake
Or us se dava ke talwar hum uthayenge
Fareb me in ka nahi koi insani
Ye jisko das le vo mange na
Umarbhar pani
Bada ajib hai dastur inki mehfil ka
Bulaya jata hai izat badhayi jati hai
Fir uske baad katal karke aashik ka
Badi dhoom se mayiyat uthai jati hai
Khata hamari hai jo
Humne unse pyar kiya
Gunaha kiya jo hasino pe atbar kiya
Bhul humse hui inke aashik bane
Bhul humse hui inke aashik bane
Pas inko bulana gajab ho gaya
Bhul humse hui inke aashik bane
Pas inko bulana gajab ho gaya
Thokaro me the jab tak to sidhe the ye
Thokaro me the jab tak to sidhe the ye
Arey in ko sir pe baithana gajb ho gaya
Thokaro me the jab tak to sidhe the ye
Arey in ko sir pe baithana gajb ho gaya
Hum orato ko nazar se utarne valo
Khabar bhi hai tumhe
Sher ki bhagarne valo
Ke zamin pe putli bhi ek orat hai
Jisme marad ko lalkarne ki himmat hai
Pehan ke sir pe ? Ka taj baithi hai
Jo ghar me thi vo singhasan par
Aaj baithi hai
Ager jhuke to ye dil kya
Jaan bhi de de
Jo sir uthaye to mardo ki jaan bhi lele
Ager chhe phul ka haar hai yahi orat
Khud pe aaye to talwar hai yahi orat
Ye putali ban ke jamane ko moad sakti hai
Sujhe to marad ka panja maroad sakti hai
Teri himmat pe putali hume naz hai
Teri himmat pe putali hume naz hai
Tera maidan me aana gajab ho gaya
Teri himmat pe putali hume naz hai
Tera maidan me aana gajab ho gaya
Ek din bole fariste karle dunia ki shair
Ja khuda dunia teri suni hai
Orat ke baiger
Badi himmat dikhane ke baad
Soch li mola ne orat ko janam deki baat
Isi tarah malik ne ki karigari ki
Sada chand se manga ujala
Mur suraj se liya roop
Sainyaro se manga
Rang usha se liya pankhadi seli nazakat
Or kaliyo se ada sham se kajal liya
Or subha se vada liya
Bijalio se kahar manga
Aag se gussa manga
Hosala chatan se or daed panchhi se liya
Aasama se julam manga sab rudhar ki saheliya
Jharano se idhlana liya
Bubule se nazuki or nadi se balkahana liya
Aayi hai sahrate tasvir se khamoshiya
Lahar se atheliya
Pawan se sokhiya mangi
Aakhir jharne or sabnam se aasu le liya
Badaliyo se julam or nazaro sejadu le liya
Laajvantise sharm or raat rani se haya
Aa baru moti se li suraj mukhi se rivapa
Zahar nagin se liya or saap se dasna liya
Chatana bichhu se liya
Or chubhana tir se liya
Lomadi se mang li tauti magariya
Makhiyo se shor or machharo se li aayariya
Itni chize jab lagi mola ke hath
Khuda ne in sab ko milaya
Tab jakar badi mahnat se ek murat bani
Dil nashi figar bana
Ek dil ruba surat bani
Dekh kar apni kalakari ko mola has pada
Or usi saye ka naam orat rakh diya
Uske baad
Mai bana kar tujhe khud paresan hu
Mai bana kar tujhe khud paresan hu
Arey tujhko dunia me lana gajab ho gaya
Mai bana kar tujhe khud paresan hu
Arey tujhko dunia me lana gajab ho gaya
Jag me mola ne socha marad ko paida kare
Sabse pahele ye sawal aaya ke khudrat
Kya kare patharo se sandhi
Or berukhi takdir se
Kahar tufano se manga or gajab samsir se
Gadhe se akal or kauve se saiyana pan
Or kutte ki dum se deteda pan liya
Ghat tir se or chuhe se bhagana manga
Or ullu se liya raato ko iska jagana
Leliya tote se aankhe fer lene ka chlan
Diwanapan mil gayi girgit se har dam
Rand badalne ki aada
Jis orat ko diya karta rahe dhokha sada
To is ki na farmaniya bakshi gayi
Saitan ki jhuth bole ye kha kar
Kasam bhagwan ki mirj masti me ye masala
Jab milvaya gaya or ye marad ki
Fitrat me paya gaya
Marad ke putalo me jan dhodai gayi
Usme orat ki bhi thodi si ada payi gayi
Orato me marad ki surat nahi milati janab
Par marado me milte hai jannae behisab
Sakal marado ki to adat janane ho gaye
Sakal marado ki to adat janane ho gaye
Kya khuda ne chaha tha or kya na jane ho gaye
Ban chuke marad jab to mola ne kaha
Acha khasa banaya tha maine ise
Acha khasa banaya tha maine ise
Ban gaya ye banana gjab ho gaya
Acha khasa banaya tha maine ise
Ban gaya ye banana gjab ho gaya
Vaha rey putali bai
Teri himmat ke sache
Teri jarurat ke sache
Jisam orat ka tujh me
Josh orat ka tujh me
Teri himmat ki kasam vakayi sher hai tu
Tune jo kuch bhi muh se kaha kar diya
Tune jo kuch bhi muh se kaha kar diya
Tera kar ke dikhana gajb ho gaya
Tune jo kuch bhi muh se kaha kar diya
Tera kar ke dikhana gajb ho gaya
Teri himmat pe putali hume naz hai
Tera maidan me aana gajab ho gaya
Teri himmat pe putali hume naz hai.
Did you enjoy Kaise Besharm Aashiq Hai song lyrics?. if there is any mistake in lyrics of Kaise Besharm Aashiq Hai song please contact us.