Marne Ka Shauk Lyrics - Daas Dev(Angaraag Mahanta -Papon and Krishna Beura).
Marne Ka Shauk song Lyrics from album Daas Dev.The song is sung by Angaraag Mahanta -Papon and Krishna Beura. Lyrics of Marne Ka Shauk song has written by Sameer Anjaan and The music of this song is given by Shamir Tandon. The music video of Marne Ka Shauk's song is directed by Shamir Tandon.
Bewajaha tadapte hai bewajaha rote hai
Jo shauk manate hai wo kayar hote hai
Wo kayar hote hai wo kayar hote hai
Mai lutf uthata hu mere barbad hone ka
Na khushi hai mujh ko pane ki na dard khone ka
Mai lutf uthata hu mere barbaad hone ka
Na khushi hai mujh ko paane ki na dard khone ka
Hai ye duniya kambakht badi pehle se tha pata
Jo kuch bhi hua hai sath mere us mai hai meri khata
Marne ka shauk tha mujhe marne ka shauk tha mujhe
Marne ka shauk tha
Marne ka shauk tha mujhe marne ka shauk tha
Sala mujhe hi to marne ka shauk tha
Ishq ka khatmal kaat raha tha kab se mere dil me
Wafa ka chehra dhund raha tha harjayi mehfil me
Dil tuta nakaam huwa yaha waha badnaam hua
Par aaya bada maza
Marne ka shauk tha mujhe hi
Marne ka shauk tha mujhe hi
Marne ka shauk tha
Marne ka shauk tha mujhe hi
Marne ka shauk tha
Saala mujhe hi to marne ka shauk tha
Jaan bujh ke kuda tha mai to maut ki khai mein
Mujh ko kuch nahi kehna hai ab to meri safai mein
Jo hona hai woh hona hai phir kis baat ka rona hai
Sab hai mujhe pata jaane de
Marne ka shauk tha mujhe hi
Marne ka shauk tha mujhe hi
Marne ka shauk tha
Marne ka shauk tha mujhe hi
Marne ka shauk tha marne ka shauk tha
Saala mujhe hi to marne ka shauk tha
Marne ka shauk tha.
All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes and personal use only. Copyright @ 2019-2024 hindimarathilyrics.in