Meri Tasveer Lekar Lyrics - Kala Samundar(Asha Bhosle, Mohammed Rafi and S.Balbir).
Meri Tasveer Lekar song Lyrics from album Kala Samundar.The song is sung by Asha Bhosle, Mohammed Rafi and S.Balbir. Lyrics of Meri Tasveer Lekar song has written by Anand Bakshi and The music of this song is given by Datta Naik. The music video of Meri Tasveer Lekar's song is directed by Datta Naik.
Meri Tasveer Lekar Lyrics In Hindi- Kala Samundar :
Meri tasveer lekar kya karoge tum
Meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge tum
Meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar dile dil jeer lekar
Luti jaagir lekar jali taqdeer lekar
Kya karoge kya karoge tum
Meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge tum
Meri tasveer lekar
Chale ho ab na jaane kab miloge
Sabab koi banega tab miloge
Na jine ka na marane kaa bahana
Katega kaise fursat ka zamana
Hume de jaao ek apani nishani
Badi hogi tumhari maharabani
Sukun ki to koi tadabir hogi
Hamare paas yeh tasveer hogi
Meri tasveer bhi mujhasi kaha hai
Ke yeh bejaan hai yeh bezuba hai
Tumhare kaam yeh na aa sakegi
Tumhara dil na yeh behla sakegi
Junun mein to girhabaan chaak hoga
Ke parvana to jal ke kaak hoga
Tumhare samne jab hum no hoge
Yeh gham tasveer se to kaam na hoge
Yuhi tadapoge tum aahe bharoge
Kya karoge tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge tum
Meri tasveer lekar
Bajah hai baat yeh hum manate hai
Na bahalegi tabiyat janate hai
Karegi hasarate fariyaad aksar
Ke tum aaya karoge yaad aksar
Ghame furqat na hoga yun gavara
Magar thoda sa to hoga sahara
Judai mein mulakate karege
Ke hum tasveer se baate karege
Khayalo mein basa lo meri surat
Meri tasveer ki hai kya zarurat
Meri yaado ko samajho yaadagare
Kiza mein bhi rahegi phir bahare
Sama kwabo ka hota hai suhana
Kabhi aana kabhi mujhako bulana
Hume ek dusare ki did hogi
Nighaho ki dilo ki id hogi
Na manoge to ro ro ke maroge
Kya karoge tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge tum
Meri tasveer lekar
Bahane par banate ho bahana
Deewane ho banate ho deewana
Kuda jaane tumhe inakar kyu hai
Hume phir bhi tumhi se pyar kyu hai
Bade bedard ho dil todte ho
Sitam ke tir hum pe chhodate ho
Na aisi bevafaa betir hogi
Bhali tum se to yeh tasveer hogi
Guzarish aap ke diladar ki hai
Vajah ek aur bhi inakar ki hai
Zamaane ki nighaho se bachake
Ise tum laakh rakhoge chhupake
Kisi din dekh hi lega zamana
O bada mashahur hoga yeh fasana
Jo logo ki zuba tak baat pahunche
To phir jaane kaha tak baat pahunche
Kaho kya pyaar ko rusava karoge
Kya karoge tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge tum
Meri tasveer lekar
Hume manzoor yeh rusvaiya hai
Ke inase bhi buri tanahaiya hai
Mohabbat ke nahi dastur aise
Hume charche nahi manzur aise
Wafa mein log lutate hai jaane
Tumhe aashiq bhala hum kaise maane
Shubha ho ishq mein to imteha lo
Meri tasveer na lo meri jaa lo
Kaho jaane wafa ab kya kahoge
Kya karoge tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar
Zubaa kyun ruk gayi hai
Ho nigaah kyun jhuk gayi hai
Aji ghabara gaye kya
Kaho sharma gaye kya
Abhi hai raat baqi
Abhi hai baat baqi
Abhi se haar baithe
Dilo jaa vaar baithe
Naya andaz koi
Nayi parvaz koi
Labo ko si liya kya
Zahar pi liya kya
Chale taqarar aage
Chalo sarakar aage
Bane tasveer kya baithe rahoge
Kya karoge tum meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar kya karoge tum
Meri tasveer lekar
Meri tasveer lekar dile dil jeer lekar
Luti jaagir lekar jali taqdeer lekar
Kya karoge kya karoge tum
Meri tasveer lekar.
All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes and personal use only. Copyright @ 2019-2024 hindimarathilyrics.in