Suno Suno O Gaaon Ke Lyrics - Yugandhar(Jolly Mukherjee, Mangal Dhillon and Sudesh Bhonsle).
Suno Suno O Gaaon Ke song Lyrics from album Yugandhar.The song is sung by Jolly Mukherjee, Mangal Dhillon and Sudesh Bhonsle. Lyrics of Suno Suno O Gaaon Ke song has written by Javed Akhtar and The music of this song is given by Laxmikant Shantaram Kudalkar -Laxmikant Pyarelal and Pyarelal Ramprasad Sharma -Laxmikant Pyarelal. The music video of Suno Suno O Gaaon Ke's song is directed by Laxmikant Shantaram Kudalkar -Laxmikant Pyarelal and Pyarelal Ramprasad Sharma -Laxmikant Pyarelal.
Are suno suno o gaaon ke
Rehne walo dekho
Gaaon mein aaya ek vyopari
Door desh ke dhan se
Uski jeb hai bhari
Uske dil mein ek armaan
Kharide sab kheti khalyan
Hamara karde wo kalyan
Woh aaya karke hai sari taiyari
Are suno suno o gaaon ke
Rehne walo dekho
Gaaon mein aaya ek vyopari
Are hat are hat itna sar mat chad
Tujhe kya samajhaye unpadh
Zara thehro ke hum samajhayega
Tum humko kehne do
Tumhare gaaon mein hum
Karkhana jab lagayega
To saare gaaon ko hum
Saher ke jaisa banayenge
Jaha purvai ke badle mein
Chimani ka dhua hoga
Na phir yeh dharti aisi hogi
Na yeh aasmaan hoga
Are yeh bhi to socho
Jo bhi saher mein ma hota hai
Woh sab kuch yaha hoga
Magar itna bata do
Mujhko tum bhaiya
Kisan apni zameen jo bech dega
To kaha hoga
To phir tum yeh kaho tumko
Buri halat ki aadat hai
Taraki se tumhe nafarat
Garibi se mohabbat hai
Garibi se nahin mujhko
Garibo se mohabbat hai
Yahi hai meri puja aur
Yahi meri ebadat hai
Aur taraki ke liye kya sochate ho
Taraki woh nahin hoti jo
Ek dhanwan ka ghar bharde
Lekin saikado nirdhan rahe bhukhe
Phire beghar jiya din raat mar mar ke
Taraki wo nahin hoti
To phir hum bhi sune ke
Tum taraki kaun si
Chidiya ko kehte ho
Taraki isko kehte hai
Ke har ek ghar mein roti ho
Taraki isko kehte hai
Ke har aangan mein jyoti ho
Taraki isko kehte hai
Ke har seene mein aasha ho
Taraki yeh nahin hoti
Ke bhashan ho kamishan ho
Tamasha ho
Bahut naraz ho lekin suno
Zameen hum tumse jo lega
To pura daam bhi dega
Yaha par mil banayega
To sabko kaam bhi dega
Kaam tum apne aap malik ho
Magar yeh sheth ji tum
Sabko ab naukar banayega
Dam chalo yeh bhi suno ke
Dam yeh kitna chukayega
Yeh wo dharti hai jisko
Mere purkho ne lahu ko sinch kar
Fasle ugayi thi
Batao mere purkho ke lahu ka
Dam kya doge
Yeh wo dharti hai jiski
God mein bachapan mera khela
Yeh dharti meri maa hai
Batao meri maa ki mamta ka
Dam kya doge
Zara dekho zara dekho
Hamare gaaon ko dekho
Hawao mein base hai geet
Hamari behno maa o ke
Zameen par dekhte hai
Hum nishaan purkho ke paao ke
Yaha ke zarre zarre mein
Hamari kitni yaade hai
Hamari jaan hai gaaon
Meri pehchan hai gaaon
Meri pehchan ka tum yeh batao
Dam kya doge
Bahut pancham mein baate kar raha hai
Magar yeh to kahe kya chahta hai
Tumhare dil mein gaaon ka bhala hai
To aao saath aao
Mere kandhe se tum kandha milao
Hum iss dharti se wo fasle ugaye
Ke har bhukhe ko hum roti khilaye
Mita daale garibi ka yeh kissa
Bara bar ka mile har ek ko hissa
Na koi malik ho na koi naukar
Lotera ho koi na koi beghar
Hum apne gaaon ko aisa banaye
Hum apne dekh ko aisa banaye
Bolo hai manzoor hai manzoor
Hai manzoor hai manzoor
Hai manzoor hai manzoor
Hai manzoor hai manzoor
Hai manzoor hai manzoor
Hai manzoor hai manzoor
Hai manzoor hai manzoor
Hai manzoor hai manzoor.
All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes and personal use only. Copyright @ 2019-2024 hindimarathilyrics.in