Tu Kaha Chala Lyrics - Khel(G. M. Durrani and Geeta Ghosh Roy Chowdhuri -Geeta Dutt).
Tu Kaha Chala song Lyrics from album Khel.The song is sung by G. M. Durrani and Geeta Ghosh Roy Chowdhuri -Geeta Dutt. Lyrics of Tu Kaha Chala song has written by Khawar Zaman and The music of this song is given by Sajjad Hussain. The music video of Tu Kaha Chala's song is directed by Sajjad Hussain.
Teri nazron ne mere
Sine pe fire kar diya
Aur bhari nagri mein mere
Dil ka puncture kar diya
Tu kaha chala
Mukh mod ke baalam
Kaha chala mukh mod
Tu kaha chala
Dil tod ke baalam
Kaha chala dil tod
Dar o diwaar pe hasrat se
Nazar karte hain ta ta ta ta
Hum to safar karte hain
Kaise jaaun tere saath
Ke cycle hi nahin hai
Dil kaise dikhaun ke
Mera dil hi nahin hai
Tu kaha chala
Mukh mod ke baalam
Kaha chala mukh mod
Piya gaye pardes suni laage sej
Piya gaye pardes majnun ki
Bhaujaai o devdaas ki taai
Kyun prem kabaddi khel ke
Tu ne gham ki bulbul paali
Jal gayaa aatish e furqat mein jigar
Khaa gayi hum ko raqibon ki nazar
Ishq mein ho gaye chauthaayi hum
Reh gayi dil mein teri yaad magar
Kyun tu ne apne mann ko rog lagaya
Wo dekh sakhi tera jiwan saathi aaya
Mera jiwan suhanaa
Suhana huaa
Meri galiyon mein
Saajan ka aana huaa
Mera jivan suhana
Suhaana huaa
Meri galiyon mein
Saajan ka aana huaa
Mera baalam bedardi
Mera baalam bedardi
Mera baalam bedardi
Mera baalam bedardi
Saath mein apne mem ko laya
Mera naazuk dil tarsaaya
Saath mein apne mem ko laya
Mera naazuk dil tarsaaya
Mere laal gulaabi mukh par
Chhaaye gayi hai zardi
Mera baalam bedardi
Mera baalam bedardi
Teri aisi taisi mera
Baalam de jaa teri aisi taisi
Teri aisi taisi mera baalam de jaa
Warna phod ke rakh dungi
Main tera bheja tera bheja
Mat kar hum se fight ri chhori
Mat kar hum se fight
Mat kar hum se fight ri chhori
Mat kar hum se fight
Ab to hans hans kar bitenge
Apne day aur night
Ab to hans hans kar bitenge
Apne day aur night
Pad gayi jaan musibat
Mein bachaao dear
Pad gayi jaan musibat
Mein bachaao dear
Ye musibat hai
Musibat ko hataao dear
Mudda i laakh buraa
Chaahe to kya hota hai
Wohi hota hai jo
Manzoor e khuda hota hai
Mere desh mein rehna hai to
Ghaghraa pehan choli pehan
Ab ke mere balamwa ki
Ban jaa chhoti behn
Ab ke mere balamwa ki
Ban jaa chhoti behn
Manzoor hame
Manzoor hame
Manzoor hame
Manzoor hame.
All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes and personal use only. Copyright @ 2019-2024 hindimarathilyrics.in