Ye To Allah Ko Khabar Lyrics - Katilon Ke Kaatil(Mohammed Rafi).
Ye To Allah Ko Khabar song Lyrics from album Katilon Ke Kaatil.The song is sung by Mohammed Rafi. Lyrics of Ye To Allah Ko Khabar song has written by Rajendra Krishan and The music of this song is given by Anandji Virji Shah and Kalyanji Virji Shah. The music video of Ye To Allah Ko Khabar's song is directed by Anandji Virji Shah and Kalyanji Virji Shah.
Ye To Allah Ko Khabar Lyrics In Hindi- Katilon Ke Kaatil :
Thagte dekhe hai lakho mulla
Karodo pandit hazaro sayane
Jo khub socha samjh me aaya
Khuda ki bate khuda hi jane
Aake duniya me basar kam karna hai jo kar
Aake duniya me basar kam karna hai jo kar
Saph niyat hai agar phir na anjam se dar
Jane padti hai kidhar uski rehmat ki nazar
Jane padti hai kidhar uski rehmat ki nazar
Ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar
Ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar
Dekhte dekhte kyu khel bigad jate hai
Dekhte dekhte kyu khel bigad jate hai
Kyu baharo me bhare bag ujad jate hai
Pyar se pala jinhe apna lahu de dekar
Usi dali se wohi phul bichhad jate hai
Kisi zalim ka bache,kisi zalim ka bache
Lute mazlum ka ghar, lute mazlum ka ghar
Ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar
Ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar
Wo jo chahe to bura waqt bhi tal sakta hai
Wo jo chahe to bura waqt bhi tal sakta hai
Wo hi kismat ki lakiro ko badal sakta hai
Jat apr uski bharosa hai to bande ek din
Rat ke sine se suraj bhi nikal sakta hai
Aadmi ko kya khabar, aadmi ko kya khabar
Uski manjil hai kidhar, uski manjil hai kidhar
Ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar
Ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar
Jane kis bhent me kis mod pe wo mil jaye
Jane kis bhetn me kis mod pe wo mil jaye
Teri ummid ki har ek kali khil jaye
Dil se nikli huyi fariyaad me wo takat hai
Wo jo sun le to pahado ka bhi dil hil jaye
Mangte rahna dua, mangte rahna dua
Hoga kis waqt asar, hoga kis waqt asar
Ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar
Ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar
Zulm ki aag me zalim ko jalaya usne
Zulm ki aag me zalim ko jalaya usne
Ek majdur ka ghar phir se basaya usne
Naam leta huya uska jo swali aaye
Uske darbar se hargij na wo khali jaye
Uske ghar der sahi, uske ghar der sahi
Nahi andher magar, jane padti hai kidhar
Uski rehmat ki nazar uski rehmat ki nazar
Ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar
Ye to allah ko khabar ye to mulla ko khabar.
All lyrics are property and copyright of their owners. All lyrics provided for educational purposes and personal use only. Copyright @ 2019-2024 hindimarathilyrics.in